Monday 14 July 2014

Jeevan Ki Paribhasa


Kabhi to ruko,
Socho khade hokar,
Kaha le aaye ho khud ko,
Kitni dur aa gye ho tum.

Kabhi to muro,
Aur dekho un khusiyo ko,
Jise chhod aaye ho tum,
Peeche kisi raaste me.

Kabhi to socho,
Ki kya tum whi ho,
Jo ki kbhi banna chahte the,
Yaa kya paya is duniya me tumne.

Kabhi to jaano,
Ki daulat jise tum apna kahte ho,
Tumhe bas aaram de sakta h,
Chain kabhi nhi.

Kabhi to samjho,
Khusiyaa dusro ke pyaar se milti h,
Aur pyaar,
Hmesa dil se hota h.

Kabhi to bnao,
Apni jindgi ko jindgi ki tarh,
Jaha ho dusro ki khusiyaa phle,
Aur apna swaarth ant me.

Kabhi to bno,
Pyar ka wo samundra,
Ki koi bi khtm na kar sake,
Insaaniyat ke paani ko tumhare dil se,

Kabhi to ruko,
Kabhi to socho,
Kabhi to samjho,
Ki ye jeevan bas tumhara hai,
Aur tumse bahtar ise koi nhi jee sakta.

Aur ant me prajwaleet kro,
Insaaniyat ku wo masaal,
Jo badal de is duniya me,
Jeevan ki Paribhasa............

VIJAY KUMAR KHEMKA



plz tell me how was this.....